Shadi zindagi ka aik aisa ahem tareen faisla hay jo na sirf do logon ki balkay do khandanon ki takdeer badal deta hay. Jab hum apni zindagi ka itna barra kadam uthanay lagtay hain, toh hamaray dil mein bohat se sawalat aur darr hotay hain. Kya ye rishta hamaray liye behtar hoga? Kya hum is insaan ke sath khush reh saken ge? In sawalat ka jawab sirf Allah ki zaat ke paas hay. Isi liye Online Free Istikhara for Marriage aaj kal un logon ke liye aik umeed ki kiran hay jo sahi raste ki talash mein hain.
Istikhara Kya Hai? (What is Istikhara?)
Istikhara dar-asal Allah Ta’ala se mashwara karne ka naam hay. Is ka lafzi matlab hay “khair maangna” yaani Allah se hidayat aur rehnumai talab karna. Jab insaan kisi muamlay mein ulajh jata hay aur usay samajh nahi aata ke kaun sa rasta us ke liye behtar hay, toh wo do rakat nafal parh kar Allah se dua karta hay ke “Ay Allah! Agar ye kaam mere haq mein behtar hay toh isay mere liye asan kar day, aur agar behtar nahi toh isay mujh se door kar day.” Istikhara is seeking guidelines from God Almighty. Ye wo rasta hay jahan banda apni makhlooq hone ka iqrar karta hay aur apne Khaliq se behtreen faislay ki darkhwast karta hay.
Istikhara Kyun Zaroori Hai? (Why Istikhara for Marriage?)
Insaan ka ilm boht mehdood hay. Hum sirf aaj ko dekh sakte hain, lekin hamara Rab kal ko dekh raha hay. Human does not know the future, but God Almighty surely knows the future. Hum aksar kisi ki zahiri khubsurti ya paisa dekh kar usay apne liye behtar samajh letay hain, lekin Allah janta hay ke aage chal kar ye rishta hamare liye azmaish banega ya sukoon.
Doing Istikhara will succeed you in your mission. Ye aap ko bata deta hay ke aap ko ye kadam uthana chahiye ya nahi (weather to take this step or not). Shadi jese muamlay mein Istikhara karne se dil ko aik ajib sa sukoon milta hay. Agar Allah ki taraf se ishara “Haan” mein ho, toh mushkilat asan ho jati hain. Aur agar ishara “Na” mein ho, toh insaan aane wali barri maseebat se bach jata hay.
Online Free Istikhara Ki Ahmiyat
Aaj kal ki masroof zindagi mein aksar log khud Istikhara karne ka sahi tariqa nahi jante ya unhein lagta hay ke wo sahi se tawajjo nahi de pa rahe. Isi liye Online Free Istikhara ki khidmat un ke liye boht mufeed hay. Hamaray Rohani Scholars aap ke naam aur walda ke naam ke hisab se Allah ke huzoor dua aur ibadat karte hain taake aap ko sahi rehnumai mil sakay.
Hamari website par di gayi Online Free Istikhara for Marriage ki service ka maqsad un tamam bhaiyon aur behnon ki madad karna hay jo rishton ke muamlay mein pareshan hain. Yaad rakhein, Allah kabhi apne bande ko tanha nahi chhorta. Jab aap us se rasta mangte hain, toh wo zaroor koi na koi darwaza khol deta hay.
Natija (Conclusion)
Agar aap bhi apni shadi ya kisi rishtay ko le kar shash-o-panj ka shikar hain, toh der mat karein. Allah se ruju karein aur Istikhara ke zariye us ki raza maloom karein. Hamaray scholar aap ke liye mukammal raazdari ke sath Istikhara karenge taake aap ki ane wali zindagi khushiyon ka gahwara ban sakay.